Featured post

WhatsHapp....?

काल  रात्री गोव्यावरून परत येत असताना उगीच बसल्या जागी चाळा म्हणून whatsapp सुरु  केल, डोक्यात तशा  गोव्यात दोन दिवस एकटाच भटकत असताना आलेल...

Tuesday 11 September 2012

Calm down Aasim!

Aasim Trivedi ne pichale dino jo vyanga chitra banaye ussase wo aappati main aa pahunchen hain, lekin abhivyakti swatantrya ki dhaal liye unke samarthak unka saath de rahain hain! Par ek bharatiya nagarik hone ke karan meri vyaktigat raay ye hain ki...Aasim ko bharat ke Rashtriya Pratiko ko lakshya nahi banana chahiye tha! Kyon ki Rashtriya Pratik us desh ki puri jan-manasata aur sanskruti ka pratinidhitwa karati hain.

Aap agar kisi rajakiya neta ka vyang chitra banate hain to wo aapki us vyakti ke prati vyaktigat raay hoti hain lekin jab aap kisi rashtriya pratik ka vidamban karate hain to aap ek tarah se us rashtra ke nagarik aur aasmita ko thens pahunchate hain! Yeh to aisa udaharan hain ki kisi rashtriya neta ke putale ka vidamban karane par logon ka sarvajanik jaanmaal ka nuksaan karana...Agar aapka Rashtra chlane wali sarkar par rosh hain to aap usse target kijiye na ki Rashtriya aasmita ko!

Lekin afsos janata main rashtriya aasmita itani jagruk dhikayee nahi deti, Isliye mera sabhi srujanshilta ke peshe main vyasta logo ko anurodh hain ki wo aapani sadvivekbuddhi ko sakshi mankar hi koi karya kare na ki bhavana vivash hokar kyon ki aapki srujanshilta ek prabhavi aastra hain jo logo ki bhavana niyantrit kar sakati hain!

Monday 10 September 2012

Sudarshan kriya!

Main in dino Art Of Living ka basic course kar raha hoon...isme sudarshan kriya sikhayi jati hain...main is kriya ke anshatah natijon se bahut prabhavit hua!
Is kriya me Saans lene ki ek vishishtha padhatti Sri Sri Ravishankarji dwara vikasit ki gayi hain jo bahut hi prabhavi rup se avishkrut hui hain...In short aap ise 'Science Behind Breathing' bhi keh sakate hain!